Search This Blog

Friday, May 8, 2009

Dulhan....

Raat ke andherey me.n chhatpata,ti huyi kiran dekhi,
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Badi shaan-o-shaukat se gharaundey me.n aayi vo,
sapno.n ke hazaaro.n phool sath layi vo,
Uske priyatam me.n uski dhadkan dekhi,
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Bhakti me.n kahi.n leen thi vo,
shakti me jara heen thi vo,
Kuch hi dino.n me.n uski tadapan dekhi. . .
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Har raat ki diwaali thi vo,
naagin shayad matwali thi vo,
Uske khoon ki bhi holi dekhi,
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Babul ke ghar se nikali thi vo,
piya ghar se nikaali gayi vo,
'ladki' thi,itni uski galti dekhi,
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Shaam ke dhundhalko.n me sisakti huyi dulhan dekhi,
har pal andhero.n se ladti vo kiran dekhi,
jeeti thi jo sada apno.n ke liye 'ritu',
apno.n ke haatho.n uski arthi dekhi. . .


maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .
Anginat andhero.n se ladti vo kiran dekhi. . .