Search This Blog

Sunday, May 24, 2009

Hath milaye mujhse,gale mila na kare...
rootha ho vo mujhse,khuda na kare......

feekii haNsi haNs ke aage baDh jata hai,
keh do bus muaaf kare,ab aur gila na kare..

khata huyi ho koi kabhi,yaad nahi mujhe,
khamoshi chubhti hai,keh do hoNth sila na kare..

har chehre ke talaffuz me.n nafrat bhari hai,
muskaan uski sacchi,khuda ise kabhi kam na kare..

khanzar liye log baithe hain humare darmiyaan,
kash vo rishto.n ki dor sar-e-baazaar na kare...

gum uthane ko mere baazu hi kaafi hain,
vo haatho.n ki khushiyaan kam na kare...

akele chalte chalte raasta kat hi jayega mera,
gar buri hoon to mujhse ab vo mila na kare.....

shaan se nikle the safar par hatho.n me.n hath liye,
ban jaaye.n dard meri yaade.n uske liye,khuda na kare!!!

Friday, May 8, 2009

Dulhan....

Raat ke andherey me.n chhatpata,ti huyi kiran dekhi,
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Badi shaan-o-shaukat se gharaundey me.n aayi vo,
sapno.n ke hazaaro.n phool sath layi vo,
Uske priyatam me.n uski dhadkan dekhi,
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Bhakti me.n kahi.n leen thi vo,
shakti me jara heen thi vo,
Kuch hi dino.n me.n uski tadapan dekhi. . .
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Har raat ki diwaali thi vo,
naagin shayad matwali thi vo,
Uske khoon ki bhi holi dekhi,
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Babul ke ghar se nikali thi vo,
piya ghar se nikaali gayi vo,
'ladki' thi,itni uski galti dekhi,
maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .

Shaam ke dhundhalko.n me sisakti huyi dulhan dekhi,
har pal andhero.n se ladti vo kiran dekhi,
jeeti thi jo sada apno.n ke liye 'ritu',
apno.n ke haatho.n uski arthi dekhi. . .


maine us roz vida hoti dulhan dekhi. . .
Anginat andhero.n se ladti vo kiran dekhi. . .

apna kise kahun....??

Har jakhm saja sa lag raha, dhokha kise kahu.n,
Har shakhs daga hai de raha, apna kise kahu.n...

tut gaya dil, haar gaya man aisi duniya se,
har daaman mujse rooth gaya, sona hai kise kahu.n...


Bikhri khushiya.n,har jajbaat bikhar gaye pal bhar me.n,
motiyan ki mala tut gayi,hum bikharey kise kahu.n...

jo nikli hain khushiya ghar se,kya lautengi ghar ko,
maanjhi dubaane ki chahat me.n,bacha lo kise kahu.n...

roz ek sapna aata hai,sapne me.n apne aate hain,
har sapna khanjar bhon.kh raha,sapna kise kahu.n...

hum roj kisi khwahish ko liye aate hain bajaar me.n,
neelami ki jid kar baitha vo,ab khwahish kise kahu.n...

Ek dard akela tee's akeli jinda jaane kyu,
apno.n ke bin na jee paun,marna hai kise kahu.n....

Friday, April 24, 2009

Bachpan...

Woh bhi kya din the jab bus khiloney tuta karte the,
Girtey they aansu, par do pal ko rootha karte the...

khilkhila kar haNsti thi khushiyaaN,
alvida keh kar bhi kahan chhoota karte the...

Baras ke sawan hume.n haNsaya karta tha,
pyara sa bachpan hardum khushiya lutaya karta tha...

papa ke kaNdho.n par baith dekhte the duniya,
sara jamana hum par sir jhukaya karta tha....

woh din vo bachpan bahut yaad aata hai,
Woh Zindgi fir jeene ko dil lalchaata hai...

Sawal tujhse aye khuda! aur niyati se bhi,
Kyo.n itni jaldi ek baccha bada ho jata hai...

Sunday, March 1, 2009

Ret mein phool khilane ko jee chahta hai,
dhalte suraj ko gudgudaane ko jee chahta hai,
bantì bigadti tasveero.n ki is dunia mein,
dilo ko fir jodne ko jee chahta hai..
ek tere liye,
sitare todne ko jee chahta hai...
arse baad khilti hain kaliya.n yaha.n,
milte nhi sacche log yaha.n,
apne karwa.n aage badaane se pehle
kuch zindgiya.n tere sath jeene ko jee chahta hai...
ek tere liye,
khud se ladhne ko jee chahta hai...

Thursday, February 19, 2009

Yaadein...

Jab yaadon ke jhonkey aate hain,
to dil mein taraney bajtey hain...
Bhool jaate hain jahan ko,
shoar kai machtey hain...
Yaadon ka kya hai,
inke kabhi faidey bhi hote hain...
Bus ankhon mein nami,
aur dil mein dard hote hain...
Jab yaad kisi ki aati hai,
toh baat khuda se hoti hai...
Yaad unhe karte karte,
Zindgi khafa si hoti hai...
Fir bhi,
jab yaadon ke jhonkey aate hain,
toh dil mein taraney bajte hain....

Rishtey..

Rishtey bandhey hai.n ek naazuk si dor se,
mat kheen.cho inhe itne zor se...
gar ye tut gaye to mushkil me.n aa jaoge,
gairo.n ki basti me.n tanha hi mar jaoge,
Pyar ko thukraoge to be-parwah kehlaoge,
Muhabbat ki galiyo.n se bevajah ruswa ho jaoge,
kyo.n basi-basai duniya ujaadtey ho,
Iske ujaadtey hi tum bhi kaha.n jee paoge,
Chah kar bhi ye sab phir haasil na kar paoge,
Chaahoge ha.nsna bhi to aansu pehle jhalkaoge,
Apna ye dukh.da kis kis ko sunaoge...??
Rooth jaoge tum ek din aisi zindgi se,
phir na karna pyar gehra kisi se....
Rishtey ban.dhe hai.n naazuk si dor se,
Mat kheencho inhe itne zor se....

Wednesday, February 11, 2009

kuchh sh'er...

Rag-Rag me.n teri yaad basi ho toh kya karun,
bhoolne ke khayaal se hi tu dugna yaad aaye toh kya karun....
************
De jaati hain dard khidki khol ke ye Hawayein....
Ab toh jeene se bhi darne lage hain hum....